Pehli baar mein koi kaam na ho, toh kya chhod dena chahiye?
Kabhi aisa hota hai —
hum kuch naya karne ki koshish karte hain,
jaise shoes ke lace baandhna,
drawing banana,
cycle chalana,
ya koi naya question solve karna.
Hum try karte hain…
par woh hota hi nahi.
Phir mann mein aata hai:
“Mujhse nahi hoga.”
Aur kabhi toh
use chhod dene ka mann bhi karta hai.
💭 Aisa kyun hota hai?
Kyunki jab hum kisi kaam ko
pehli baar karte hain,
toh hum chahte hain
ki woh jaldi se ho jaaye.
Par har nayi cheez
pehli baar mein aana zaroori nahi.
kabhi dimaag ko samajhne ka time,
aur kabhi bas
ek aur chhoti si try.
🌱 Toh hum kya kar sakte hain?
Agar koi kaam nahi ho raha,
toh:
- Thoda ruk sakte hain
- Phir dobara try kar sakte hain
- Aur agar phir bhi mushkil lage,
toh kisi se help maang sakte hain
Help lena matlab
“humse nahi hoga” — aisa nahi.
Kabhi-kabhi koi bas
humein shuru karne ka
ek chhota sa tareeka dikha deta hai.
Aur dheere-dheere
jo kaam pehle mushkil lagta tha,
wahi thoda aasaan lagne lagta hai.
🌸 Bloom Lesson
Har cheez pehli baar mein aana zaroori nahi.
Ek aur chhoti si koshish bhi
seekhne ka hissa hoti hai.




